Saturday, 30 November 2013

Tum bin udas hon - Urdu image poetry


Tum bin udaas  hon - Urdu Picture Poetry:

Tum bin udaas  hon

dukh hon
dard hon
saaz hon
ya beety dino ki awaaz hon
me jo kuch bhi hon
jo koi bhi hon
"tum bin udaas hon"




Friday, 29 November 2013

Good luck in exams, Exams Wishes


Exam Wishes - Best of Luck for exams:



Good Luck
on your exam!
Give your best shot on it
I am pretty confident that you can make it
my best wishes are with you!



Exams Wishes - Best of Luck in Exams


Best of Luck in Exams - Exams Wishes:

Good Luck on your Exam, 
Hugs & Kisses
and a lots of
Love
I know you'll PASS
I know you'll ROCK..... :)



Wednesday, 27 November 2013

kisi k pyar ko kisi se pyar ho jay - Image urdu poetry


Kisi k saath na ho aisa haadisa ya rab
ke kisi k pyar ko kisi se pyar ho jay..!



Tuesday, 26 November 2013

Tum mil jao - Umar bhar k lye - Image urdu poetry



Tum mil jao - Umar bhar k lye - Image urdu poetry:


Talab ye hai k tum mil jaoo ....
Hasrat ye k, Umr bhar k liye ...



kashish tumhari adaaon me - Latest Urdu Image poetry



Es qadar kashish hai tumhari adaa'on main
agr hum, tum hote to, khud se ishq kr lety




Bare gharoor se bola wo - mere baad bhi - image urdu poetry


Awesome Urdu Picture Poetry

Bare garoor se bola wo
k tum jaise lakhon mil jainge
maine bhi muskura ke poocha
mere baad bhi mere jaise hi kyon...??




Zra khamoosh tum betho - Sad Urdu Picture Poetry


Zra khamoosh tum betho - Sad Urdu Picture Poetry:


Zara Khamoosh tum betho k damm araam se niklay
idhr ham hichki lete hain, udhr tum rone lagty ho...!



Sab choor jaaty hain - sab chori ja rhy hain - Image urdu poetry



Sab chor jaty hain apna bana kar
ay zindgi tujhy bhi ijazat hai ja choor ja






aanchal ki hawa - Awesome Image urdu Poetry


Awesome Image Urdu Poetry - Anchal ki hawa ham ko

Turfa-e-Siam to dekhiye k marny bhi nahi dety
reh reh k wo dety hain, aanchal ki hawa ham ko



Monday, 25 November 2013

Zindgi - Zindagi - Urdu Poery - Poetry on life


Zindagi............ a reality of life!



Mere zindagi  k madaar mei
Wohi  ranjhshein woo rakawtein

Mere zindagi  k madaar mei
Wohi  ranjhshein woo rakawtein…..!

Mai kahan kahan say nikl sakoo
Na asan asan say han rasty….

Mujh jin logon ki talash the
Wo mery naseeb mei kahan they….

Wo jinhein mai nay dhondha nahi
Wo mery qareeb aa gaye……..!!!






Sunday, 24 November 2013

Mind blowing Urdu Poetry by Ahmad faraz Poetry


Mind blowing Urdu Poetry by Ahmad faraz Poetry - Ab k ham bichray

ab k ham bichry to shayed kbhi khwaboon main milen
jis trha sookhy huy phool kitaaboon main milen

dhond ujray huy logon me wafa ke mooti
ye khazany tujhy mumkin hai kharaabon main milen

gham-e-duniya bhi gham-e-yaar main shamil kr lo
nasha barhta hai sharaaben jo sharaaboon main milen

tu khuda hai na mera ishq farishtoon jaisa
dono insaan hain to kion itny hijaabon main milen

aj ham daar pe khinchy thy jin baaton pr !
kia ajab kal wo zamaany ko nisaabon main milen

ab na wo main hon, na tu hai, na wo maazi hai FARAZ
jaisy do saaye, tamana k saraaboon main milen



Ab k Tajdeed-e-Wafa ka nahi imkaan jaan - Ahmad Faraz Urdu Poetry


Ab k Tajdeed-e-Wafa ka nahi imkaan jaan - Ahmad Faraz Urdu Poetry


ab k tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan jaanaaN
yaad kia tujh ko dilaain tra Paymaan jaanaaN
Younhi mosam ki adaa dekh k yaad aya hai
kis qadar jald badal jaaty hain insaan jaanaaN
zindgi teri ataa thi so tery naam ki hai
hm ne jesy bhi basr ki tera ehsaan jaanaaN
dil ye kehta hai ke shayed ho afsurda tu bhi
dil ki kiya baat kren dil to hai nadaan jaanaaN






Thursday, 21 November 2013

Mujhh tum bhol jao naa.. urdu poetry



Sunooo.....!!


Sunooo!!!




Mere ik bat maano tum
Mujh tum bhol jao na
K tere is chahat nay
Mujh ruswa kar dala
K tere is chahat nay
Najany kitny logon ko
Mujh say juda kar dala

Sunooo....

Tum bhol jao na
Apni us mohabat ko
Jisy  par tum nazzz kerty ho ………….
Jis ko tum dil say lagay bethy hoo
tum bhol jao na….!!!


Mery pukhta irady..... beautiful Urdu Poetry





Hathon ki lakerein...... amazing poetry

Mery Pukhta Irady Khud Meri Taqdeer Badlaingy


Meri Qismat Mohtaj Nahi Haathon Ki Lakeeron Ki...!! 


Wednesday, 20 November 2013

Mohabat !!! Urdu Image poetry






Mohabat kis ko kehtay hain!!!




Kitaabon Se Daleel Doon Ya Khud Ko Saamne Rakh Doon
Woh Mujhse Pooch Betha Hai”MOHABBAT”Kisko Kehte Hain





allama iqbal poetry with images


Jafa jo ishq me hoti hai wo jafa hi nahi
sitam na ho to muhabbat me kuch maza hi nahi




Difficult words meanings:
jafa = opposite of Wafa [unfaithfulness], sitam = opposite of mercy, zulm  


best urdu poetry - teri rahmaton pe hai munhasir


teri rahmaton pe hai munhasir, mere hr amal ki qabooliyat
na mjhy saleeqa-e-ilteja, na mujhy sha'oor-e-namaaz hai..!


Difficult Words Meanings:
munhasir = dependent, saleeqa = manner, iltija = request [prayer], sha'oor = wisdom 


milen gi ham ko bhi - image poetry


milen gi ham ko bhi apny naseeb ki khushiyan
bas intezar hai kab ye kamaal hona hai ....!



Umr bhar sangzani - Ehle Watan - Aizaz k saath - Nice Urdu Poetry Picture:


Ehle Watan - Aizaz k saath - Nice Urdu Poetry Picture:

Umr bhr Sang-zani krty rhy ehal watan
ye alag bat hai k dafnaen ge aizaaz k saath



allama iqbal potry - Motevative urdu poetry


Phool ki pati se kat sakta hai heeray ka jigar
mard-e-nadaan pr kalaam-e-narm-o-nazuk be asr



iqbal urdu poetry




Tuesday, 19 November 2013

muhabbat km nhi krna - urdu picture poetry



subha - urdu poetry:

  

muhabbat km nhi krna 

 koi bhi roog de lena

koi bhi naam de dena nhi

subha suhani to ghamoon ki shaam de dena

mgr itni guzarish hai meri tareek raatoon se

tum apni chahaton ki lou kbhi mad'ham nhi krna

muhabbat km nhi krna ..... !

muhabbat km nhi krna ...... !



Koi bhi mosam ho - Urdu picture Poetry


Koi bhi mosam ho - Urdu Poetry


Koi bhi mosam ho
koi bhi rut ho
apni to aadat hai
tumhe yaad brabar krna
teri justaju, teri umeed krna
tumhary aany pe, khushi mazeed karna
ab to mumkin hi nahi
tere bghair eid krna



Difficult Words meanings:
(rut = season, tustaju = search, )


hijar ka mosam - Urdu picture poetry



Palkoon pe charaghoon ko sambhaly rakhna
is hijar k mosam ki hawa teez boht hai
boly to sahi, jhoot hi boly wo balaa se
zaalim ka lab-o-lehja dil aweez boht hai


Difficult words meaning: 
(hijar = separation, lab-o-lehja = way of talking, dil aweez = attrective ) 



Monday, 18 November 2013

sufi wisdom - Punjabi Kalaam - Manqabat Hazrat Mian Naik Muhammad Sahib naushahi R.A by Muhammad Rafique Mirza Puri


Manqabat Hazrat Mian Naik Muhammad Sahib Naushahi R.A 

by Muhammad Rafique Mirza Puri

This punjabi sufiyana kalam is a tribute by a MUREED to his MURSHID as a thanks for teaching knowledge and wisdom of heart and soul. The poet never gone to any school but the way he wrote and the words selection is the proof that knowledge and wisdom of hearts (sufi wisdom) is not dependent upon just degrees and certificates from anyone. It is the light of heart, came through the love, respect and affection of MURSHID [teacher of soul].


Mera Naik Muhammad Peer Ay,
Sakhi kaamil mard faqeer ay

Dukh door hunday dukhiyariyan de
jaagy bhaag naseeban haariyan de

ohdy bool wich ay taseer ay
sakhi kamil mard faqeer ay

rakh seeny naqsha wahdat da
nit sabq parhaya wahdat da

hoya kalmay naal akheer ay
sakhi kamil mard faqeer ay

dassi rah toheed haqeeqat di
kholi ramz shar'a te tareeqat di

sohna nausha di tasweer ay
sakhi kamil mard faqeer ay

likhan wasaf ki apniyan peeran da
ohna sohniyan badr muneeran da

gunah-gaar RAFIQUE haqeer ay
mera naik MUHAMMAD peer ay


Difficult words meanings:
dukhiyaariyan = people suffering from pain, naseeban haariyan = people suffering misfortune, nit = always, badr muneer = bright moon)


Bol k lab azaad han tery!!! poetry by Faiz Ahamad Faiz


Bool

bool, keh lab aazaad hain tere
bool, zuban ab tk teri hai
tera sutwaan jism hai tera
bool k jaan ab tk teri hai
dekh k aahan-gar ki dukaan main
tund hain sho'lay, surkh hai aahan
khulny lagy quflon k dahaany
phaila hr ik zanjeer ka daaman
bool, ye thora waqt boht hai
jism-o-zuban ki maut se pehly
bool k sach zinda hai ab tk
bool, jo kuch kehna hai keh le...!




Difficult words meanings: sutwaan = rising, aahan-gar = black smith, tund = sharp, aahan = iron, qufl =lock, dahaany = mouth [origin]


YE tou zaarf ki baat ha ..... awesome urdu poetry



Zaraf ki baat...... A beautiful theme




















Ye to zarf ki baat hai ke koi samate kis tarha
Ke jitney dukh miltey hein utney daman kushada nahi hotey..!

Jo khud par jhail chukey hun karb totey hue dil ka
Woh kisi ka dil dukhaney par amada nhi hote!


Difficult words meanings:
(zaraf = patience, kushaada = wide, jhail = bear, [observe], karb = pain, aamada = agree) 


Mosam Urdu Image poetry - kaash tum bhi mosam hotay


Mosam Urdu Image poetry


koi shay ....
palat kr wapas nahi aati
siwaay
mosamoon k......
kaash.....
tum bhi mosam hoty......



Amjad Islam amjad - Urdu Image Poetry - Mosam Poetry


Amjad Islam amjad - Urdu Image Poetry - Mosam

Rang Dhanak ne bikhraay hain, mosam acha hai
gaye zamaany yaad aye hain, mosam acha hai

Aankhen, chehry, khushbu, wa'ady, aansu, yaaden, phool
ik ik kr k laut aye hain, mosam acha hai

shaam e shafaq ki sair bahaany tum bhi aa jao
dost puraany sb aye hain, mosam acha hai
(Amjad Islam Amjad)




Difficult Words meanings: (dhanak = rainbow, bikhraay = to spread, laut aye = returned, shafaq = subha, ya shaam k waqt asmaan ki surkhi [redness on sky due to sun rise or sun set]


awesome urdu picture poetry by Parveen shakir - Mosam Poetry


Mosam - Parveen Shakir - Urdu Poetry

Mosam

Chiriya poori bheeg chuki hai
aur darakh bhi patta patta tapak raha hai
ghounsla kb ka bikhar chuka hai
chiriya phir bhi mehak rahi hai
ang ang se bool rahi hai
is mosam me bheegty rehna kitna acha lagta hai!
(Parveen Shakir)



Difficult words meanings:  tapak = to drop, ghounsla = nest, mehak = fragrance , ang = part, [ang ang = from whole body] 


Sunday, 17 November 2013

December laut aya hai - urdu poetry


December laut aya hai - urdu poetry

gaye din .....!
gaye pal laut'ty nahi
magr mosam laut aaty hain
wohi mosam!
jo apni rafaqatoon k ameen they
wo saary lamhay jo dil ko azbar thy
sunoo !
wo mosam laut aye hain
December laut aya hai

meri khirki main yakh-basta hawaain
tumhari Hidat churaa k lai hain
Khunak Mosam muj se baten krta hai
tumhary lehjay main!
bolta hai

wohi meethi c sargooshi
wohi jadu bhara lehja
soochon to paas ho kitny
dekhon jo ....
tum! kahen bhi nahi
December laut aya hai magar ab ke
meri khalwat k haseen lamhon main
tumhary ehsaas k siwa kuch 
kahen bhi nahi
kuch bhi nahi...



Difficult words meanings: (Rafaqatoon = relations, [friendship], azbar = on finger tips, yakh-bashta = frosting cold, hidat = heat of touch, khunak = dry, sargooshi = whisper)


Ahmad Faraz Poetry - Khwab marty nahi - Dreams don't die


Ahmad Faraz Poetry - Khwab marty nahi - Dreams don't die :

Khwab marty nahi
Khwab dil hain na ankhen , na shaamen k jo
reza reza huy to bikhar jain ge
jism ki maut se bhi ye mar jain ge
khwab marty nahi

khwab to roshni hain, nwaa hain, hwaa hain
jo kaaly pahaaron se rukty nahi
zulm ke dozakhoon se bhi phukty nahi
roshni aur nwaa aur hwaa ke Alam
maQtaloon me pohanch kr bhi jhukty nahi
khwab to haraf hain
khwab to noor hain
khwab suQraaT hain
         khwab maNsoor hain - - -!




Difficult words meanings:

(nwaa = voice [awaaz], - Phukty = to become dry [sookh jana] , - MaQtal = death cell, - Suqraat = philosopher which was forced to drink poison, Mansoor = A famous Lover of God


bara dushwaar hota hai Urdu Picture poetry




wafa ki aarzu urdu poetry


Wafa Ki Aarzu Karna,
Safar Ki Justuju Karna,
Jo Tum Mayoos Ho Jao,
To Mujh Se Guftugu Karna,
Ye Aksar Ho Bhi Jata Hai,
K Koi Kho Bhi Jata Hai,
Muqaddar Ko Satao Ge,
To Phir Ye So Bhi Jata Hai,
Agar Tum Hosla Rakho,
Wafa Ka Silsila Rakho,
Jise Tum KHALIQ Kehte Ho,
Usi Se Raabta Rakho,
Main Ye Daaway Se Kehta Hoon,
Kabhi Nakaam Na Ho Ge,
Haqeeqi Ishq Ko Samjho,
Kabhi Badnaam Na Ho Ge...!!!


Saturday, 16 November 2013

to yaad aon ga Urdu poetry


Sard ratoon ky mehakty huy saNaatoon main
jab kisi phool ko choomo ge to yaad aaun ga




Sard Raatoon ki bheegi tanhaaai

barasti boondon ky chooty hi sulagta sa badan

beeti yaadon beetay lamhoon me sulagta hua dil

youn guzray saal ky saary dukh aur saary gham

akeela December Seh leta hai _ _ _ !




Thursday, 14 November 2013

December Image Urdu Poetry - Mohsin Naqvi


December Image Urdu Poetry - Mohsin Naqvi:

Thitharti huie Shab-e-Siyaah aur woh Bhi Taweel TaR
Mohsin  HijR ky maaroon py qiyamat hai December....!




December ki yaaden, Sard hawa kiya chali


Sard hawain kiya chaleen mere shehar main
har traf yaadoon ka December bikhar giya...!





December ki dhoop, poetry about december


Kisi ko dekhon to maathay peh maah-o-saaal mileen
kahen bikharti hui dhool main sawaaal mileen
-- --- --- * * * -- -- ----
Aou kuch dair December ki dhoop main betheen
ye fur'sateen hamen shayed naa agly saal mileen.. !






Tuesday, 12 November 2013

Parveen shakir Poetry - phir youn hua k us ne takaluf se baat ki



Parveen Shakir Poetry:




dasny lagy hain khwab magar kis se boliye
main janti thi, paal rahi hon sanpoooliye

Bas ye hua k us ne takaluf se baat ki
aur ham ne rooty rooty dupatay bhigoo liye


 


Main jab bhi chaahon usy choo k dekh skti hon
magar wo shakhas k lagta hai ab bhi khwab aisa


Monday, 11 November 2013

benefits of writing poetry / diary writing , reasons to write






The most special outcomes of writing poetry / writing diary



  •  Poetry gives a flow of thoughts from unexplained themes to explained words. It’s a therapy to do catharsis without paying to psychologists/therapists.As when you write your problems,your painful ideas and painful feelings on the paper you get mental relief.
  •  Writing provides a way to heal and be aware of ourselves that who am I, what I think, what I want etc.
  • It’s a very smooth way to communicate what we can't do verbally.
  • Converting your idea and thought into best and unique words let you to be creative as well as famous.
  •  Writing poetry lets a person to learn about language, about one’s own self and allow others to know about him/her.
  •  Writing poetry enables to control and maintain your emotions through getting aware of them.
  • You can express your thoughts,ideas,feeling and emotions through writing them in poetic and more articulated way.
  •  Through writing you can able to be connected with life issues and discuss them in very concise and innovative way. 


Saturday, 9 November 2013

iqbal best poetry




iqbal image poetry - allama Iqbal Urdu poetry


Allama Iqbal Urdu Poetry

Husn-e-kirdaar se noor-e-mujassam ho ja
k iblees bhi tujhy dekhy to musalmaan ho jay



allama iqbal motivated poetry - eagle soul -


Aqaabi rooh jb bedaar hoti hai jawaano me
nazr ati hain unko apni manzil aasmano me



allama iqbal urdu poetry - heart touching urdu poetry by iqbal


Muhabbat ka junoon baqi nahi hai
musalmaano me khoon baqi nahi hai
safen kaj, dil pareshan, sajda bezauq
k jazba-e-andrun baqi nahi hai
ragoon me laho baqi nahi hai
wo dil, wo aawaz baqi nahi hai
namaz-o-roza-o-qurbani-o-haj
ye sb baqi hai tu baqi nahi hai


A heart touching and reality based poetry by Allama Iqbal (Philosopher and great poet of Pakistan). 


Beautiful Punjabi image poetry by Bullahy shah


Beautiful poetry by very famous punjabi poet.




Bullahy Sha said this life is very uncertain. In this word nothing is our own when we die we will be burried under sole with empty hands. 


Tuesday, 5 November 2013

prophet quotes about mercy to others


"Show mercy to those on earth,
and God will show mercy to you....!"
(Holy Prophet Hazrat Muhammad  {blessings and peace be upon him})



prophet quotes about this life




prohet quotes