Best of ALLAMA IQBAL URDU POETRY:
Ai taayir-e-laahooti us rizq se maut achhi
Jis rizq se aatee hai parvaaz meiN kotaahee
Barbad gulistaan karne ko to ek hi ullu kaafi tha.
Yahan..har shaakh pe ullu baitha hai anjam-e-gulistan kya hoga
Paani paani kar gayee mujh ko qalandar ki ye baat
Tu agar maira nahiN banta na ban, apna to ban
Bani aghyar ki ab chahnay wali dunya
reh gai apnay liyay aek khayali dunya
ham to rukhsat howay aoron nay sanbhali dunya
phir na kehna keh hoi taoheed say khali dunya
ham to jitay hen dunya mein tera naam rahay
kaisay mumkin hay, saqi na rahay jaam rahay
Nam e jamhoor pe bazaar saja rakha hay
biktay hen log yahan daam laga kar dekho
Ham say Mahtab kahan zakhm sajanay walay
tum koi teer naya dil pe chala kar dekho
Ki MUHAMMAD say wafa too nay to ham teray hen
ye jahan cheez hay kia loh o qalam teray hen
Hazaron saal nargis apni benoori pe roti hay
bardi mushkil say hota hay chaman mein deedawar paida
Jab Ishq sikhata hai aadab-e-khud aagahi
Khultey hain ghulamon pe asrar-e-shahanshahi
Atar ho, Roomi ho, Razi ho, Ghazali ho
Kuch haath nahin aata bey aah-e-sehar gahi
Gul zamin bech de, aasman bech de
Aadmi ke bas bas me ho to jahan bech de
Deen saboot ke sahab, adal ho nahi sakta
Kab gawah badal jaye kab byan bech de
Jis khait say dehqan ko mayassar na ho rozi
us khait kay har khosha e gandum ko jala do
Butoon se tujh ko umeedein, khuda se na umeedi
mujhe batta tu he orr KAFIRI kia hai?
"Zabaan sey gar kiya tauheed ka da’wa to kya hasil ?
Banaya hay Bute pindaar ko apna khuda tuney"
MaiN jo sar ba-sajda huwa kabhi, to zameeN se aanay lagi sada
Tera dil to hai sanam aashna, tujhay kya milay ga namaaz meiN
Patthar ki moortoN meiN samjha hai tu Khuda hai
Khaak-e-watan ka mujh ko har zarra daivta hai
tehzeeb_e farangi hay agar marg-e amomat
hay hazrat-e insaa.n k leye is ka samar mout
jis ilm ki taseer sey zan hoti hay na nazan!
kehtey hain usi ilm ko arbaab-e nazar mout
begana rahey dee.n sey agar madrasa-e zan
hay ishq-o mohabbat k leye ilm-o hunar mout
YaqeeN muhkam, amal paiham, mohabbat faateh-e-aalam
Jehaad-e-zindagaanee meiN yeh haiN mardoN ki shamsheeraiN
Koyee andaaza kar sakta hai is k zoar-e-baazoo ka
Nigaah-e-mard-e-momin se badal jaatee haiN taqdeeraiN
Apney bhi Khafa mujh se haiN baygaaney bhi naaKhush
MaiN zahr-e-halaahal ko kabhee kah na saka qaNd
Nikaala ham ko Janat se Fareb-e-Zindagi dey ker
Dia phir shaoq-e-Janat kyon, Ye Hairaani nhi jati...!!!
Nahi Tera Nasheman Qasr E Sultaani Ki Gunbad Par
Tu Shaheen Hai Basera Kar Pahaaron ki Chataanon Main
khudi ki parwarish-o tabiyat pe hay moqoof
k musht-e khaak main paida ho aatish-e huma soz!
yehi hay sir-e kaleemi har ik zamaney main!
hawa-e dasht -o shoaib-o shabani-e shab-o roz
Tere ishq ki inteha chahta hun
Meri saadgi dekh kya chahta hun
Zara sa to dil ho magar shokh itna
Wohi lantoorani sunna chahta hun
Ye jannat mubarak rahe zaahidon ko
Ke men aap ka saamna chahta hun
Bhari bazm men raaz ki baat keh di
Bara be-adab hun saza chahta hun
ajab waiz ki din-dari hai ya rab
adawat hai ise sare jahan se
koi ab tak na ye samjha k insan
kahan jata hai ata hai kahan se
wahin se rat ko zulmat mili hai
chamak taron ne pai hai jahan se
ham apni dard-mandi ka fasana
suna karte hain apne razdan se
bari barik hain waiz ki chalen
laraz jata hai awaz-e-azan se
ham mashriq k musalmanon ka dil magrib mein ja atka hai
wahan kuntar sab billori hai, yahan ek purana matka hai
is daur mein sab mit jayenge, han baqi wo rah jayega
jo qayam apni rah pe hai, aur pakka apni hat ka hai
ae shaikh-o-brahman sunte ho kya ahl-e-basirat kahte hain
gardon ne kitani bulandi se un qaumon ko de patka hai
jnhen main dhundhta tha asmanon mein zaminon mein
wo nikle mere zulmat-e-khana-e-dil k makinon mein
mahine wasl k ghariyon ki surat urte jate hain
magar ghariyan judai ki guzarti hai mahinon mein
mujhe rokega tu ai nakhuda kya garq hone se
k jin ko dubna hai dub jate hain safinon mein
jala sakti hai sham-e-kushta ko mauj-e-nafas un ki
ilahi kya chupa hota hai ahal-e-dil k sinon mein
tamanna dard-e-dil ki ho to kar khidmat faqiron ki
nahin milta ye gauhar badshahon k khazinon mein
muhabbat k liye dil dhundh koi tutnewala
ye wo mai hai jise rakhte hain nazuk abginon mein
bura samajhun unhen mujh se to aisa ho nahin sakta
k main khud bhi to hun "Iqbal" apne nuktachinon mein
kabhi ai haqiqat-e-muntazir nazar a libas-e-majaz mein
k hazaron sajde tarap rahe hain teri jabin-e-niyaz mein
tarab ashna-e-kharosh ho tu nawa hai mahram-e-gosh ho
wo surur kya k chaya hua ho sukut-e-parda-o-saz mein
tu bacha bacha k na rakh ise tera aina hai wo aina
k shikasta ho to aziz tar hai nigah-e-aina-saz mein
dam-e-tauf kar mak-e-shamma na ye kaha ke wo asr-e-kohan
na teri hikayat-e-soz mein na meri hadis-e-gudaz mein
na kahin jahan mein aman mili jo aman mili to kahan mili
mere jurm-e-khanakharab ko tere azo-e-banda-nawaz mein
na wo ishq mein rahin garmiyan na wo husn mein rahin shokhiyan
na wo gaznawi mein tarap rahi na wo kham hai zulf-e-ayaz mein
jo main sar-ba-sajda kabhi hua to zamin se ane lagi sada
tera dil to hai sanam-ashana tujhe kya milega namaz mein
khird k pas khabar k siwa kuch aur nahin
tera ilaj nazar k siwa kuch aur nahin
har muqam se age muqam hai tera
hayat zauq-e-safar k siwa kuch aur nahin
rangon mein gardish-e-khun hai agar to kya hasil
hayat soz-e-jigar k siwa kuch aur nahin
urus-e-lala munasib nahin hai mujhse hijab
k main nasim-e-sahar k siwa kuch aur nahin
jise qasad samajhte hain tajran-e-firang
wo shay mata-e-hunar k siwa kcuh aur nahin
giranbaha hai to hifz-e-khudi se hai warna
gauhar mein ab-e-gauhar k siwa kuch aur nahin
lab pe ati hai dua ban k tamnna meri
zindagi shamma ki surat ho Khudaya meri
dur duniya ka mere dam andhera no jaye
har jagah mere chamakne se ujala ho jaye
ho mere dam se yun hi mere watan ki zinat
jis tarah phul se hoti hai chaman ki zinat
zindagi ho meri parwane ki surat ya rab
ilm ki shamma se ho mujhko mohabbat ya rab
ho mera kam garibon ki himayat karna
dard-mandon se zaifon se mohabbat karna
mere Allah burai se bachana mujhko
neik jo rah ho us rah pe chalana mujhko
mohabbat ka junun baqi nahin hai
musalmanon mein khun baqi nahin hai
safen kaj, dil pareshan, sajda bezuk
k jazba-e-andrun baqi nahin hai
ragon mein lahu baqi nahin hai
wo dil, wo awaz baqi nahin hai
namaz-o-roza-o-qurbani-o-haj
ye sab baqi hai tu baqi nahin hai
mumkin hai ke tu jisako samajhata hai baharan
auron ki nigahon mein wo mausam ho khizan ka
hai sil-sila ehwal ka har lahja dagargun
ae salek-rah fikr na kar sudo-zayan ka
shayad k zamin hai wo kisi aur jahan ki
tu jisko samajhta hai falak apne jahan ka
nahin minnat-kash-e-tab-e-shanidan dastan meri
khamoshi guftagu hai, bezubani hai zaban meri
ye dastur-e-zaban-bandi hai kaisi teri mahfil mein
yahan to bat karne ko tarasti hai zaban meri
uthaye kuch waraq lala ne kuch nargis ne kuch gul ne
chaman mein har taraf bikhri hui hai dastan meri
ura li kumariyon ne tutiyon ne andlibon ne
chaman walon ne mil kar lut li tarz-e-fugan meri
tapak ai shama ansu ban k parwane ki ankhon se
sarapa dard hun hasrat bhari hai dastan meri
ilahi phir maza kya hai yahan duniya mein rahne ka
hayat-e-jawidan meri na marg-e-nagahan meri
sach kah dun ai brahman gar tu bura na mane
tere sanam kadon k but ho gaye purane
apnon se bair rakhna tu ne buton se sikha
jang-o-jadal sikhaya waiz ko bhi Khuda ne
tang ake akhir main ne dair-o-haram ko chora
waiz ka waz chora, chore tere fasane
patthar ki muraton mein samjha hai tu Khuda hai
khak-e-watan ka mujh ko har zarra dewata hai
a gairat k parde ik bar phir utha dein
bichron ko phir mila dein naqsh-e-dui mita den
suni pari hui hai muddat se dil ki basti
a ik naya shiwala is des mein bana den
dunya k tirathon se uncha ho apna tirath
daman-e-asman se is ka kalas mila dein
har subah mil k gayen mantar wo mihe mihe
sare pujariyon ko mai pit ki pila dein
shakti bhi shanti bhi bhakton k git mein hai
dharti k basiyon ki mukti prit mein hai
sakhtiyan karta hun dil par gair se gafil hun main
hay kya achi kahi zalim hun main jahil hun main
hai meri zillat hi kuch meri sharafat ki dalil
jis ki gaflat ko malak rote hain wo gafil hun main
bazm-e-hasti apni araish pe tu nazan na ho
tu to ik taswir hai mahfil ki aur mahfil hun main
dhundhata phirta hun ai "Iqbal" apne ap ko
ap hi goya musafir ap hi manzil hun main
sare jahan se acha hindustan hamara
ham bul-bulen hain is ki ye gulistan hamara
gurbat mein hon agar ham rahta hai dil watan mein
samjho wahin hamein bhi dil ho jahan hamara
parwat wo sab se uncha hamsaya asman ka
wo santri hamara wo pasban hamara
godi mein kheli hain is ki hazaron nadiyan
gulshan hai jin k dam se rashk-e-janan hamara
ai ab-e-rud-e-ganga wo din hai yad tujh ko
utra tere kinare jab karwan hamara
mazhab nahin sikhata apas mein bair rakhna
hindi hain ham watan hai hindustan hamara
yunan -o-mishr-o-roma sab mit gaye jahan se
ab tak magar hai baqi nam-o-nishan hamara
kuch bat hai k hasti mitati nahin hamari
sadyon raha hai dushman daur-e-zaman hamara
'Iqbal' koi mahram apna nahin jahan mein
malum kya kisi ko dard-e-nihan hamara
sitaron se age jahan aur bhi hain
abhi ishq k imtihan aur bhi hain
tahi zindagi se nahin ye fazayen
yahan saikaron karawan aur bhi hain
kanat na kar alam-e-rang-o-bu par
chaman aur bhi, ashiyan aur bhi hain
agar kho gaya ek nasheman to kya gam
maqamat-e-ah-o-fugan aur bhi hain
tu shahin hai parwaz hai kam tera
tere samne asman aur bhi hain
isi roz-o-shab mein ulajh kar na rah ja
k tere zamin-o-makan aur bhi hain
gae din k tanha tha main anjuman mein
yahan ab mere razadan aur bhi hain
tere ishq ki intaha chahta hun
meri sadgi dekh kya chahta hun
sitam ho k ho wada-e-behijabi
koi bat sabr-azma chahta hun
ye jannat mubarak rahe zahidon ko
k main ap ka samna chahta hun
koi dam ka mehman hun ai ahl-e-mahfil
chirag-e-sahar hun, bujha chahta hun
bhari bazm mein raz ki bat kah di
bara be-adab hun, saza chahta hun
tu abhi rahguzar mein hai qaid-e-makam se guzar
misr-o-hijaz se guzar, paires-o-sham se guzar
jis ka amal hai be-garaz, us ki jaza kuch aur hai
hur-o-khayam se guzar, bada-o-jam se guzar
garche hai dilkusha bahot husn-e-firang ki bahar
tayarek buland bal dana-o-dam se guzar
koh shigaf teri zarab tujhse kushad sharq-o-garab
teze-hilahal ki tarah aish-o-nayam se guzar
tera imam be-huzur, teri namaz be-surur
aisi namaz se guzar, aise imam smumkin hai ke tu jisako samajhata hai baharan e guzar
utho meri dunya k garibon ko jaga do
khak-e-umra k dar-o-diwar hila do
garmao gulamon ka lahu soz-e-yaqin se
kunjishk-e-phiromaya ko shahin se lara do
sultani-e-jamahur ka ata hai zamana
jo naqsh-e-kuhan tum ko nazar aye mita do
jis khet se dahqan ko mayassar nahin rozi
us khet k har khosha-e-gandum ko jala do
kyon khaliq-o-makhluq mein hayal rahen parde
piran-e-kalisa ko kalisa se hata do
main nakhush-o-bezar hun marmar k silon se
mere liye mitti ka haram aur bana do
tahazib-e-nawin kargah-e-shishagaran hai
adab-e-junun shayr-e-mashriq ko sikha do
Amal se zindagi banti hai, jannat b jahanum b
yeh khaaki apni fitrat mein na noori hai na naari hai
paani paani kr gayi mujhko qalandar ki woh baat
tu jhuka jo ghair k agay na tan tera na man tera...
jo main sar basajda hua kahin
tu zameen se anay lagi sada
tera dil tu hai sanam aashna
tujhe kya milega namaz mein...
Parindon Ki Duniya Ka Darvaish hoon main
Kay Shaheen banata nahin Aashiyana
Shab Guzri Ek Aalam-E-Iztarab Main
Kal Aagaye Iqbal Mere Khuaab Main
Poocha,Kia Arz-E-Watan Ka Haal Hey??
Arz Ki!Kahin Harbong,Kahin Hartal Hey!
Poocha,Kese Hain Millat’e'islamia K Sham’o’sahar?
Arz Ki,Muztarib Hain Sabhi, Karachi Ta Kashghar!
Bole,Kuch Merey Dars-E-Masawat Yaad Hain?
Arz Ki,Ab Tu Bus Apne Apne Tabqat Yaad Hain!
Kia Baaqi Hain Qaid K Afkar’o'huner,Woh Tanzeem’o'yaqeen?
Arz Ki,Allama!Itni Cheezain Tu Kabhi Ham Main Thin Hi Nahin!
Mayoos Lage!K Yaani Apne Qaid K Ehsanaat Bhool Gaye?
Arz Ki,”Ji Aaqa Ham Waqai Apni Apni Oaqat Bhool Gaye!
Ummid Se Poocha!Woh Jo Faqeerana Khudi Ki Maine Taleem Ki??
Arz Ki! “Us Main Tu Her Leader Ne Apni I Marzi Ki Tarmeem Ki!
Kaha ‘Mager Maine Tu Tableegh-E-Tarz’e’shaheen Ki??
Arz Ki.”Lekin Musharraf Ne ‘Neutral”Rehne Ki Talqeen Ki!
Poocha K’ Kia Hua Aisa Jo Mard-E-Momin Sehma Sa Hey?
Arz Ki,’ Bush Ne Poocha Tha “Bata Teri Raza Kia Hey”
Poocha”Kia Hoi Woh Aqeedat Jo Gumbad-E-Qasr’e’sultani Se Thi?
Arz Ki” Murshid!Ab Tu Woh Aishwarya Se Hey,Kal Tak Raani Se Thi!
Bole”Kia Ab Bhi Wohi Geirat Pakhton Aur Afghan Main Hey?
Arz Ki”Bohut Thori Si Mager Sirf Shahrukh Khan Main Hey!
“Aur Woh Jazba Jo Kabhi Jamal Uddin Afghani Main Thaaa?
Arz Ki” Kuch Dinon Tak Tu Dekha Sind K Paani Main Tha!
Afsos!’Wohi Benoori,Wohi Ashk Hain Merey Nargisi Cha Man Main!!!
Peer’o'murshid!”Ek Aap Hi Deedawar The Saare Watan Main!!
Yaani Aman Ki Fakhta,Woh Dardmand Bulbul So Gaye ???
Nahi Huzoor!’Americans Kab K Qabiz’e'kabul Ho Gaye!
Farmaya,” Fatah Sirf Aur Sirf Taleem-O-Iejaad Main Hey!
Arz Ki,”Ji! Isi Lye ‘Genius Gora, Aajkal Baghdad Main Hey!
Poocha,”Kiaa Mard’e'momin Sabhi Behis Ho Gaye Hain??
Arz Ki,”No Sir!!Kahin Kahin Kuch Parcham Aur Putle Jale Hain!
Ab K Poocha ‘Kia Agle Waqton Ki Hi Koi Tayyari Hey”?
Arz Ki” Yes We R Ready!K Iraq K Baad Ab Apni Hi Baari Hey!
Poocha, ‘Kia Nahi Chahta Momin K Khatima Bil’kher Ho??
Arz Ki,’ Mager Koi Nahi Chahta K America Ko Us Se Ber Ho!
Jhilla Ker Bole,’ Shikwa K Saath Mera Jawab’e’shikwa Bhi Samjha Hota!!
Arz Ki” Allama Sahab!Sirf Samajh Boojh Lene Se Bhi Kia Mujzaa Hotaa?
‘Kia Hijrat Ki Daastan Bhi Nahi Sunai Kisi Ne?
“Sir Jee!Jinhon Ne Sunai Phir Loota Hey Unhi Ne!
Afsos!Kahin Bhi Watan Main Zarb’e'kaleemana Nahi !
Murshid!’ Yeh Tey Hey K Ab Jang Per Tu Jana Nahi!S
Jate Huwe Bole!” Yaani Ab Zara Bhi Ittehad Nahi,Millat Ki Nigehbani K Lye”
Arz Ki “Nahi Hazrat,Ab Bhi” Ek Hain Muslim “Charam’ Paasbani K Lye’
Kabhi Hairat Kabhi Masti Kabhi Ah Sehar Gahi
Badalta hai hazaroon rang mera dard mehjori!
Had Adrak say Bahar hain Batain Ishq-o-Masti ki
Samajh main iss qadar aya kay dil ki mot hai doori
________________
Kuwata-e-ishq say har past ko bala kar day
dahr main Ism-e-Muhammad say ujala kar day
_______________
Ho teray dum say shagufta chaman-e-dahr tamam
Sair is baagh ki kar bad-e-sehar ki sorat
Garchey to Zindagaani Asbaab hai
Kalb ko lekin Zarra Azaad rakh.
Akal ko tankeed se Fursat nahi
Ishq par amaal ki Buniyaad rakh.
Aaey musalmaa har gharri peshi nazar
Aiye la yukhliful miaad rakh.
Ye lasaan al asr ka paigaam hai
Inna wadallahi hakku yaad rakh.
mumkin hai ke tu jisako samajhataa hai bahaaraan
auron kii nigaahon mein wo mausam ho Khizaan kaa
hai sil-silaa ehawaal kaa har lahjaa dagaragoon
ae saalek-rah fikr na kar sood-o-zayaan kaa
shaayad ke zamin hai wo kisii aur jahaan kii
tu jisko samajhtaa hai falak apane jahaan kaa
nahin minnat-kash-e-taab-e-shaniidan daastaan merii
Khaamoshii guftagu hai, bezubaanii hai zabaan merii
ye dastuur-e-zabaan-bandii hai kaisii terii mahafil mein
yahaan to baat karne ko tarastii hai zabaan merii
uthaaye kuch varaq laalaa ne kuch nargis ne kuchh gul ne
chaman mein har taraf bikharii huyii hai daastaan merii
uraa lii qumariyon ne tootiyon ne andaliibon ne
chaman vaalon ne mil kar looT lii tarz-e-fugaan merii
Tapak ai shama aansuu ban ke parvaane kii aankhon se
saraapaa dard hoon hasrat bharii hai daastaan merii
ilaahii phir mazaa kyaa hai yahaan duniyaa mein rahne kaa
hayaat-e-jaavidaan merii na marg-e-naagahaan merii
“Sooraj humei’n har shaam ye dars deta hy,
k maghrib ki taraf jao gey tou doob jao gey….”
Majnoon nay sheher chora, tu Sehraa bhi chor day
Nizaray ki hawas ho tu Laila bhi chor day
Wa'az! kamal-e-tarq se milti hai yaan muraad
Duniya jo chor dii hai to uqbaa bhi chor day
Taqleed ki rawish se tu behtar hai Khud-Kushi
Rasta bhi dhoond, Hizar ka soda bhi chor day
Mannand-e-Khama Teri zuban per hai harf-e-gair
Begana Shay pe Nazish-e-Bejaa bhi chor day
Lutaf-e-Qalaam kya je naa ho dil mein DARD-e-ISHQ
Bismil nahe hai tu to Tarapna bhi chor day
Shabnam ki tarah pholoon pe ro, aur chaman se Chal
Iss Baagh mein Qyaam ka soda bhi chor day
Acha hai dil kay pass rahay pasbanay Aqal
Lakin kabhi kabhi issay tanha bhi chor day
Hai Ashiquee mein rasam alag sab se bethna
But-Khana bhi, Haram bhi, Kaleesa bhi chor day
vo aaye ghar me.n hamaare Khudaa kii qudrat hai
kabhi ham un ko kabhii apane ghar ko dekhate hain
Nice �� Post.
ReplyDelete2 line Best Imges Poetry collection
Best thought provoking lines
ReplyDeletehttps://hindishayarilove8.blogspot.com/2023/06/alone-sad-shayari.html
ReplyDelete