Showing posts with label ahmad faraz urdu poetry. Show all posts
Showing posts with label ahmad faraz urdu poetry. Show all posts

Wednesday, 11 December 2013

Gham e hayat ka jhagra mita rha hai koi - Ahmad Faraz Designed Urdu Poetry:


Gham e hayat ka jhagra mita rha hai koi - Ahmad Faraz Designed Urdu Poetry:

Gham e hayat ka jhagRa mita raha hai koi
chaly ao k dunya se ja raha hai koi

Azal se keh do k ruk jay do ghari
suna hai aany ka wada nibha rha hai koi

wo is naaz say bethy hain laash k paas
jaisy roothy huy ko mana raha hai koi

palat kr na aa jay phir saans nabzon main
itny haseen haathon se mayat saja rha hai koi



Sunday, 24 November 2013

Mind blowing Urdu Poetry by Ahmad faraz Poetry


Mind blowing Urdu Poetry by Ahmad faraz Poetry - Ab k ham bichray

ab k ham bichry to shayed kbhi khwaboon main milen
jis trha sookhy huy phool kitaaboon main milen

dhond ujray huy logon me wafa ke mooti
ye khazany tujhy mumkin hai kharaabon main milen

gham-e-duniya bhi gham-e-yaar main shamil kr lo
nasha barhta hai sharaaben jo sharaaboon main milen

tu khuda hai na mera ishq farishtoon jaisa
dono insaan hain to kion itny hijaabon main milen

aj ham daar pe khinchy thy jin baaton pr !
kia ajab kal wo zamaany ko nisaabon main milen

ab na wo main hon, na tu hai, na wo maazi hai FARAZ
jaisy do saaye, tamana k saraaboon main milen



Ab k Tajdeed-e-Wafa ka nahi imkaan jaan - Ahmad Faraz Urdu Poetry


Ab k Tajdeed-e-Wafa ka nahi imkaan jaan - Ahmad Faraz Urdu Poetry


ab k tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan jaanaaN
yaad kia tujh ko dilaain tra Paymaan jaanaaN
Younhi mosam ki adaa dekh k yaad aya hai
kis qadar jald badal jaaty hain insaan jaanaaN
zindgi teri ataa thi so tery naam ki hai
hm ne jesy bhi basr ki tera ehsaan jaanaaN
dil ye kehta hai ke shayed ho afsurda tu bhi
dil ki kiya baat kren dil to hai nadaan jaanaaN






Sunday, 17 November 2013

Ahmad Faraz Poetry - Khwab marty nahi - Dreams don't die


Ahmad Faraz Poetry - Khwab marty nahi - Dreams don't die :

Khwab marty nahi
Khwab dil hain na ankhen , na shaamen k jo
reza reza huy to bikhar jain ge
jism ki maut se bhi ye mar jain ge
khwab marty nahi

khwab to roshni hain, nwaa hain, hwaa hain
jo kaaly pahaaron se rukty nahi
zulm ke dozakhoon se bhi phukty nahi
roshni aur nwaa aur hwaa ke Alam
maQtaloon me pohanch kr bhi jhukty nahi
khwab to haraf hain
khwab to noor hain
khwab suQraaT hain
         khwab maNsoor hain - - -!




Difficult words meanings:

(nwaa = voice [awaaz], - Phukty = to become dry [sookh jana] , - MaQtal = death cell, - Suqraat = philosopher which was forced to drink poison, Mansoor = A famous Lover of God


Sunday, 20 October 2013

Ahmad Faraz Image poetry


Ahmad Faraz Image Poetry Collection