Sunday, 24 November 2013

Ab k Tajdeed-e-Wafa ka nahi imkaan jaan - Ahmad Faraz Urdu Poetry

Ab k Tajdeed-e-Wafa ka nahi imkaan jaan - Ahmad Faraz Urdu Poetry


ab k tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan jaanaaN
yaad kia tujh ko dilaain tra Paymaan jaanaaN
Younhi mosam ki adaa dekh k yaad aya hai
kis qadar jald badal jaaty hain insaan jaanaaN
zindgi teri ataa thi so tery naam ki hai
hm ne jesy bhi basr ki tera ehsaan jaanaaN
dil ye kehta hai ke shayed ho afsurda tu bhi
dil ki kiya baat kren dil to hai nadaan jaanaaN





No comments:

Post a Comment